Thursday, January 8, 2009

HUSSAIN (Razi Allah Tala Anhu)

Kausar k Saqi ka wo Nawasa HUSSAIN tha
jab Karbala k dasht main Piyasa HUSSAN tha
Baadal yazeediat k jo pheley tha char soo Un main
Chamkata aik Sitara HUSSAIN tha
Karta wo Kaise hath pe baiyat yazeed k
Us waqt sab se Urfa-o-Aala HUSSAIN tha
Hilna laga tha Arsh-e-Ellahi bhi us ghari
Jab Karbala ki rait pe tarpa HUSSAIN tha
Pardes main Shaheed jisay kar diya gaya
Wo MUSTAFA (Sallallaho Aalihi Wassallam) ki
ankhon ka Tara HUSSAIN tha.

4 comments:

Unknown said...

Mashallah... Subhanallah....

Unknown said...

Subhaan Allah Allah Ho Akbar

yakub said...

subhan allah

yakub said...

beshaq