Tuesday, February 3, 2009

Precious Dua - wazeefa

but saray wazaif k lye shart ye hai k insan sub se pehlay gunah chhor de...jab tak ALLAH razi naheen ho ga to koi wazeefa asar naheen karti...

jo tu mera to sub mera falak mera zameen meri
jo ik tu naheen mera to koi sheh naheen meri


jo khush hain aap (ALLAH) to har soo bahar ka alam
wagarna sara ye aalam he aalam-e-gham hai


uf kitna hai tareek gunehgar ka alam
anwaar se mamoor hai abrar ka aalam (abrar="naik sualeh)"


koi tujh se kuchh koi kuchh mangta hai
ilahi mai tujh se talabgar tera


nigah-e-aqraba badli mizaj-e-dostaan badla
nazar ik un (ALLAH) ki kya badli k kul sara jahan badla

No comments: